kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai

kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai

ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain
ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein bat rahi hai

main us ko har roz bas yahi ek jhut sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kat rahi hai

mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipat rahi hai

ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palat rahi hai

so is talluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain
ruki hui gadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close