kise KHabar thi labon se hansi bhi chhinega

kise khabar thi labon se hansi bhi chhinega
zamana hum se hamari khushi bhi chhinega

sahaara kaun gharibon ko dost deta hai
gharib ki to koi jhonpadi bhi chhinega

usi ke dam se hai qaem nizam sanson ka
ye zindagi hai usi ki kabhi bhi chhinega

ye baat sun ke tajjub sa ho raha hai hamein
kabhi kisi ki koi zindagi bhi chhinega

laga de shauq se koi qalam pe pabandi
hai kis mein dam jo meri shairi bhi chhinega

hai sadgi to azal se hi meri fitrat mein
wo kaun hai jo meri sadgi bhi chhinega

chaman mein shoala jo nafrat ka uth raha hai yahan
hansi gulon ki wahi tazgi bhi chhinega

andhere jis ko muqaddar ne de diye hain 'mukesh'
wo sochta hai meri raushni bhi chhinega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close