kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna

kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna
sitare ko ziyaada der pani mein nahin rahna

ye mitti kyun mere qadmon se lipti hai ki jab main ne
hamesha ke liye duniya-e-fani mein nahin rahna

kahin is dastan mein ek aisa mod aaega
jahan kirdar ne apni kahani mein nahin rahna

tujhe hamrah to rakh lunga main lekin dil-e-sada
teri babat ziyaada khush-gumani mein nahin rahna

mujhe ek aisi duniya bhi basani hai jahan 'shahzad'
kisi ko bhi kisi ki hukmarani mein nahin rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close