kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha hamein bhi aakhirash ek daere ka hona tha abhi se achchha hua raat so gai warna kabhi to khatm-e-safar ratjage ka hona tha barhana-tan badi guzri thi zindagi apni libas hum ko hi ek dusre ka hona tha hum apna dida-e-bina pahan ke nikle the sadak ke bich kisi hadse ka hona tha hamare panw se lipti hui qayamat thi qadam qadam pe kisi zalzale ka hona tha hum apne samne har lamha marte rahte the hamare dil mein kisi maqbare ka hona tha tamam raat bulata raha hai ek tara ufuq ke par kisi moajaze ka hona tha kisi ke samne utthi nazar to bah nikla hamari aankh mein kya aable ka hona tha hisar-e-shahr se bahar nikal hi aae hain kabhi hamein bhi kisi raste ka hona tha