kisi ke aks ko hairan karna chahta hun

kisi ke aks ko hairan karna chahta hun
main sang-o-aina yak-jaan karna chahta hun

buland karta hun dast-e-dua ki jaise main
kisi ki zat par ehsan karna chahta hun

bahut haqir hai lekin tujhe ata kar ke
main dil ko takht-e-sulaiman karna chahta hun

mujhe ye zindagi dushwar bhi qubul magar
kahin kahin ise aasan karna chahta hun

main aisi kaun si shai kho chuka hun jis ke ewaz
sabhi ko be-sar-o-saman karna chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close