kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai

kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai
nafas nafas mahak utha nazar nazar nikhar gai

nigah-e-naz jab uthi ajib kaam kar gai
jo rang-e-rukh uda diya to dil mein rang bhar gai

meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe chot pad gai to dur tak nazar gai

ab aas tut kar mujhe sukun nasib ho gaya
jo sham-e-intizar thi wo sham to guzar gai

kali dil-e-tabah ki khili na 'chishti'-e-hazin
khizan bhi aa ke ja chuki bahaar bhi guzar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close