kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum

kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum
ghadi mein waqt ko ulta ghuma rahe the hum

nahin tha yaad sabaq apni zindagi ka hamein
so imtihan ka parcha bana rahe the hum

kinare baith ke aansu baha ke aae the
nadi ki pyas ko pani pila rahe the hum

kiya ye jurm ki apne hi dil ki sunte the
yahi kahen ki khud apni saza rahe the hum

hum us ke zulm ke badhne ke intizar mein the
tabhi to zabt ki quwwat badha rahe the hum

laga ke ek thahaka usi ke zer-e-asar
bas apne zakhm ko nicha dikha rahe the hum

khud apne aap ko shanon pe le ke chalte the
khud apne aap ka matam mana rahe the hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close