kisi ke hijr mein qurban raat karte hue

kisi ke hijr mein qurban raat karte hue
kata hai waqt sitaron se baat karte hue

wo kya darega nai wardat karte hue
hamein guzarna hai khud ehtiyat karte hue

kisi ke khwab uthae kisi ki aankhon ne
kisi ko dekha hai palkon ko hath karte hue

ye rah-e-ishq hai is mein bala ki phislan hai
sambhal sambhal ke chalo ehtiyat karte hue

bataun kya ki main pahuncha hun kis tarah tum tak
na-mumkinat ko bhi mumkinat karte hue

wo ek chand ki jis ko zamin pe lana hai
nikal raha hun main galiyon mein raat karte hue

mubahison se bahut tang aa gaya hai 'pawan'
suna de ab tu saza iltifat karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close