kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun phate kapdon ko apni khilat-e-diba samajhta hun jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se sawad-e-shahr hi ko khema-e-laila samajhta hun hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun nahin mai-khana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-khud hai ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun ata ki hai khuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun khat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab raqib-e-ru-siyah thahrega kya itna samajhta hun numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil' mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun