kisi ki chah mein gham kya hai aur khushi kya hai tujhe khabar nahin mafhum-e-ashiqi kya hai tapish mein dhup ke hoti hai qadr sae ki na ho jo maut ka khatra to zindagi kya hai nahin hai farq andhere mein aur ujale mein nazar na aae jahan to wo raushni kya hai hain yun to saikdon makhluq bazm-e-hasti mein nahin hai dil mein mohabbat to aadmi kya hai rahe jo dil se lipat kar wo gham hi behtar hai jo chand lamhon ki mehman hai wo khushi kya hai hai aadmi to uthana hai bar hasti ka hai aas jine ki honton pe kapkapi kya hai tere liye to jhukana bhi sar ibaadat hai agar jhuka na sake dil to bandagi kya hai tumhaare jalwa-e-aqdas ka ek partaw hai ye najm aur ye zohra ye mushtari kya hai wo dil-lagi hai agar gudgudi si aa jae jala de dil ko jo 'asghar' wo dil-lagi kya hai