kisi ki jubba-sai se kabhi ghista nahin patthar

kisi ki jubba-sai se kabhi ghista nahin patthar
wo chaukhat mom ki chaukhat hai ya meri jabin patthar

khula ab rakhte hain pahlu main pinhan naznin patthar
na tha malum hain qalb-e-butan-o-mah-jabin patthar

bithaya khatam-e-izzat pe tere nam-e-nami ne
wagarna hai ye zahir tha haqiqat mein nagin patthar

dikhae phir na kyun tasir apni jazb-e-ruhani
yaqin ho jae jab hajat-rawa hai bil-yaqin patthar

talash-e-yar mein kya khar daman-gir himmat hon
hue nadim mile jab sadd-e-rah ban kar kahin patthar

jo main ai koh-kan dun jaan-e-shirin ishq-e-shirin mein
to dikhlae bajae shir ju-e-abgin patthar

gira dun faiz-e-eajaz-e-nubuwwat se wo momin hun
chhupaen phir mukhalif gar myan-e-astin patthar

pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar mein gar yahi sozish
to lauh-e-sang-e-marmar hogi az khud aatishin patthar

ye kahta hai kisi na-mehrban ka mehrban hona
pasijenge teri garmi se aah-e-atishin patthar

girin har sang-dil par bijliyan aisi hawadis ki
ki dete hain gawahi teri aah-e-atishin patthar

'habib' aae kahan se tazgi nakhl-e-mazamin mein
jahan tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zamin patthar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close