kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha

kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha
mere qarib se ho kar koi to guzra tha

ajab tilism tha us shahr mein bhi ai logo
palak jhapakte hi apna jo tha paraya tha

mujhe khabar ho jo apni to tum ko likh bhejun
abhi to dhund raha hun wo ghar jo mera tha

kisi ne mud ke na dekha kisi ne dad na di
lahuluhan labon par mere bhi naghma tha

main bach ke jata to kis samt kis jagah ki mujhe
kahin zamin ne kahin aasman ne ghera tha

zara pukar ke dekhun na un dayaron mein
mera khayal hai ek shakhs mera apna tha

mahak lahu ki thi ya tere pairahan ki thi
mere badan se hayula sa ek lipta tha

udas ghadiyo zara ye pata to de jao
kahan gaya wo khushi ka jo ek lamha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close