kisi ki yaad ko apna shiar kar lenge

kisi ki yaad ko apna shiar kar lenge
faza-e-dahr ko hum sazgar kar lenge

hum apne gham ko khushi mein shumar kar lenge
khizan ke daur mein jashn-e-bahaar kar lenge

rasai hogi jo is bazm mein kabhi apni
nasib walon mein apna shumar kar lenge

kabhi milega jo izn-e-ubudiyat hum ko
to ek sans mein sajde hazar kar lenge

raha karam jo tumhaara to bahr-e-hasti se
hum apni kashti-e-ummid par kar lenge

teri talash mein aaenge kaam dagh-e-jigar
hum un se raushni-e-rah-guzar kar lenge

khushi se milne lage hain wo aaj kal hum se
hum apni zist ko ab khush-gawar kar lenge

nazar hai dar pe hamari ki dam hai aankhon mein
abhi kuchh aur tera intizar kar lenge

hum apne khalq ki duniya sanwar kar 'khushtar'
husul-e-rahmat-e-parwardigar kar lenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close