kisi ki zist ka bas ek bab sannaTa

kisi ki zist ka bas ek bab sannata
kisi ke waste pura nisab sannata

hai us ko lafz se matlab mujhe maani se
hai us ka shor mera intikhab sannata

darun-e-khana ki viraniyan kuchh aisi thin
barun-e-khana hua aab aab sannata

mujhe pata hai kahani ka ikhtitam hai kya
tawil baat ka lubb-e-lubab sannata

meri khamoshi pe ungli uthata rahta hai
khud apna karta nahin ehtisab sannata

buland hoti sada ko daba ke khush mat ho
zarur laega ek inqalab sannata

shab-e-firaq teri yaad meri tanhai
udas udas faza mahtab sannata

abhi 'kamal' yahan qahqahe uchhalte hain
kahin na kar de unhen ek khwab sannata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close