kisi ko apne amal ka hisab kya dete

kisi ko apne amal ka hisab kya dete
sawal sare ghalat the jawab kya dete

kharab sadiyon ki be-khwabiyan thin aankhon mein
ab in be-ant khalaon mein khwab kya dete

hawa ki tarah musafir the dilbaron ke dil
unhen bas ek hi ghar ka azab kya dete

sharab dil ki talab thi shara ke pahre mein
hum itni tangi mein us ko sharab kya dete

'munir' dasht shurua se sarab-asa tha
is aaine ko tamanna ki aab kya dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close