kisi parinde ne uDne ka man banaya hai

kisi parinde ne udne ka man banaya hai
wo koi aur nahin mera hi to saya hai

zamin ki mutthi mein jaise ho aasman koi
ghazab ka reshmi ehsas koi laya hai

gulon mein shokh gulabi tumhin ne rang bhare
chale bhi aao ke gulshan ne ab bulaya hai

ye mera ganw har ek roz yun damakne laga
ke jugnuon ne yahan aashiyan banaya hai

nae se khwab chura lun hasin lamhon se
yun shabnami si kisi raat ne sulaya hai

bhara bhara sa hi rahta hai ye mera man ab
mizaj waqt ne tujh se ye khub paya hai

milo kabhi bhi jo fursat mein to ye puchhenge
yun mere chand ko mujh se hi kyun churaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close