kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun

kisi takhliq ke paikar mein aana chahta hun
tasawwur hun kahin apna thikana chahta hun

mujhe tahsin ki jab koi khwahish hi nahin hai
to apne sher kyun tujh ko sunana chahta hun

mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai
tujhe ai zindagi main walihana chahta hun

isi khatir to ye sinf-e-sukhan main ne chuni hai
ki jo mahsus karta hun batana chahta hun

mere in khushk honton ko zara namnak kar de
main apni pyas ki shiddat chhupana chahta hun

tabhi to 'shad' palkon par saja rakkha hai un ko
main apne khwab duniya ko dikhana chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close