kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke

kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke
raha nigah ka mehwar bas apna ghar ab ke

na jaane kitne hi raste the muntazir lekin
simat ke rah gaya qadmon mein hi safar ab ke

ye intizar ki shiddat na thi kabhi pahle
muhit lagta hai sadiyon pe lamha bhar ab ke

bahaar-e-lala-o-gul ke qaside khatm hue
khizan ka marsiya padhta hai har shajar ab ke

ye kaisa nasha musallat tha ab ke zehnon par
tabahiyon se rahe sab hi be-khabar ab ke

samar ki parwa kiye bin hi hum ne boya hai
zamin-e-khwab pe ummid ka shajar ab ke

ajib mausam-e-karb-o-bala hai gulshan mein
rakha hai ghunchon ne kanton pe apna sar ab ke

ghutan mein waqt ki barud ban gaya hun 'sukhan'
na phunk de mujhe aa kar koi sharar ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close