kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae tufan ne banhen phaila din jis waqt kinare yaad aae diwar se lag kar sochon ki ummid ka sara din guzra jab raat hui to hum ko bhi sab khwab hamare yaad aae paiman-e-wafa ke sine se phir aaj lahu tapka 'jami' jo rah mein thak kar baith gae ahbab wo sare yaad aae