kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre jab uthe hath duaon ko to gauhar barse tak rahe the tere ghar ko wo saman bhi kya tha tu guzarta hai hawa aai to hum ye samjhe kitni hi bar kiya hum ne to zamzam se wazu kitni hi bar teri yaad mein aansu chhalke surma-e-khak-e-madina jo laga aankhon mein misl aaine ke aankhon ke nagine chamke