kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya

kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya
raat jab tak rahe ai mere ham-nawa rakhna raushan diya

raushni ka wazifa nahin wo chale rasta dekh kar
wo to aazad hai misl-e-mauj-e-saba rakhna raushan diya

raat kaisi bhi ho khauf ke chor ki ghat kaisi bhi ho
apni ummid ka apne wishwas ka rakhna raushan diya

shab ki be-ant zulmat se lad sakti hai ek nannhi si lau
rah bhule huon ko hai bang-e-dara rakhna raushan diya

aashna ki sada ghup-andhere mein ban jati hai raushni
is shab-e-tar mein apni aawaz ka rakhna raushan diya

raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai
jot se jot jalti rahegi sada rakhna raushan diya

mujh se 'amjad' kaha jhilmilate hue akhtar-e-sham ne
us ko aana hi hai wo zarur aaega rakhna raushan diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close