kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya

kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya
ki banne bigadne ka har faisla khak par rakh diya

mujhe qasr-e-tabir ki us ne sab kunjiyan saunp din
magar chhin kar khwab aankhon se aflak par rakh diya

siwa rakh hone ke ab koi chaara bacha hi nahin
sharar-e-hawas kis ne ye mere khashak par rakh diya

koi hai jo girdab-e-gham se bachae hue hai mujhe
ki ek mehrban hath phir chashm-e-namnak par rakh diya

koi kaam 'aslam' bana hi nahin wahshaton ke baghair
jala kar charagh-e-junun taq-e-idrak par rakh diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close