kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir

kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan taskhir
hua hai husn ka shohra tera to aalam-gir

naha ke baal jo sarkae gore chehre se
to jaise chand nikal aaya kali badri chir

na khub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na mah
ajab gadhi yad-e-qudrat ne kuchh teri taswir

jahan pada tera saya uga wahan gulzar
qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir

shikar kar liya sara jahan shikar-andaz
hua hai par nigah se teri nigah ka tir

hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche
idhar udhar hain tadapte ye nim-jaan nakhchir

hai 'azfari' wo siyah-bakht sanp kata bhi
padi hai zulf ki aa jis ke panw mein zanjir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close