koi aankh chupke chupke mujhe yun nihaarti hai mere dil mein ek tamanna kahin sar ubhaarti hai meri soch ka tariqa meri aankh ka saliqa yahi shai hai tere andar jo tujhe sanwarti hai nae shauq ki chamak hai kisi mehman nazar mein meri ruh mein utar kar mere sar ubhaarti hai mujhe kuchh dinon se us se bada pyar mil raha hai kabhi apne dil ko ware kabhi jaan haarti hai kabhi juda khol dena kabhi phir se bandh lena mujhe shak sa ho chala hai wo mujhe ubhaarti hai koi gunj ban ke ab tak wo hai jism-o-jaan se lipti ki thahar thahar ke ab bhi wo mujhe pukarti hai ghane ho gae ziyaada jahan chandni ke sae usi daman-e-shajar mein wo mujhe pukarti hai naya husn dekhta hun kham-e-shakh-e-har-shajar par ye bahaar apne tan se jo libas utarti hai kai sal ki mohabbat magar aaj bhi wahi hai ki main ek sharir bachcha wo mujhe sudhaarti hai badi der se hun lauta mujhe ye batao logo meri aarzu ka daman wo kahan pasarti hai jo mara hai hadse mein mera us se kya tha rishta ye sadak jo khun mein tar hai mujhe kyun pukarti hai