koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai

koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai
ye dil tujh ko bhula kar kyon tujhe hi yaad karta hai

tabahi ke bahut sare wasile hain magar ek to
mohabbat hi mein apne aap ko barbaad karta hai

tere dil mein mohabbat ko jagane ke liye ab to
wo pagal roz hi kuchh kuchh nai ijad karta hai

darakhton ko jadon se kat kar bante hain furniture
tu apna ghar sajata hai wo ghar ko yaad karta hai

jala kar bastiyon ko bolte phirte hain ye zalim
koi barbaad karta hai koi aabaad karta hai

ajab aadat si us ko ho gai hai wo kabutar ko
pakadta hai pakad kar khud hi phir aazad karta hai

kahan jaega khushiyon ka thikana dhundne 'faez'
ghamon se apne dil ko aaj tak wo shad karta he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close