koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai

koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai
aadmi bhid mein rahte hue tanha kyun hai

panw phailae hue gham ka andhera kyun hai
aa gai subh-e-tamanna to phir aisa kyun hai

main to ek zarra-e-nachiz hun aur kuchh bhi nahin
wo jo suraj hai mere nam se jalta kyun hai

tujh ko nisbat hai agar nam-e-barahim se kuchh
aag ko phul samajh aag se darta kyun hai

kaun sa ahd hai jis ahd mein hum jite hain
dasht to dasht hai dariya yahan pyasa kyun hai

pi ke bahkega to ruswai-e-mahfil hogi
wo jo kam-zarf hai maikhane mein aaya kyun hai

koi aaseb hai ya sirf nigahon ka fareb
ek saya mujhe har su nazar aata kyun hai

yaad kis ki mah-o-khurshid liye aai hai
shab-e-tarik mein aaj itna ujala kyun hai

bad-hawasi ka ye aalam kabhi pahle to na tha
hashr se pahle hi ye hashr sa barpa kyun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close