koi bhi KHud ko badalta nazar nahin aata

koi bhi khud ko badalta nazar nahin aata
azab aaega talta nazar nahin aata

zamin ko rok liya hai kashish ne suraj ki
ye din to raat mein dhalta nazar nahin aata

lage hai yun ki uge hain darakht patthar ke
koi bhi phulta phalta nazar nahin aata

dhuan bhara hai makan mein sulagte hain dar-o-baam
makin to aankh bhi malta nazar nahin aata

bapa hai jashn masiha-nafas ki aamad par
mariz hai ki sambhalta nazar nahin aata

ubhaarte hain hudi-khwan pukarti hai jaras
magar ye qafila chalta nazar nahin aata

gire hai barq sar-e-tur-o-dasht-e-sina par
koi shajar kahin jalta nazar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close