koi bhula hua yaad aa raha hai

koi bhula hua yaad aa raha hai
gham-e-derina khae ja raha hai

hazaron zawiye badle nazar ne
zamana mustaqil bal kha raha hai

talluq kuchh nahin jis khub-ru se
rag-e-jaan mein wo basta ja raha hai

khayalon ki munderon par wo aa kar
bala ki chandni barsa raha hai

nazar manzar mein jis ko dhundhti thi
wo dil ki anjuman mein aa raha hai

jise ahl-e-junun kahte hain 'mani'
tadap kar sab ko wo tadpa raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close