koi deta nahin hai dad be-dad koi sunta nahin fariyaad fariyaad kahen hain kya bala dam-e-bala hai teri zulfon ko ai sayyaad sayyaad na rakh ummid-e-asaish jahan mein ki hai duniya ki be-buniyaad buniyaad tujhe mashuqiyat ke fan mein mahbub kahen hain ishq ke ustad ustad gai ghaflat mein sari umr 'hatim' ki jaisi khak-e-rah barbaad barbaad