koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq

koi hasin hai mukhtar-e-kar-khana-e-ishq
ki la-makan hi ki chaukhat hai aastana-e-ishq

nigahen dhundh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq
ishaare puchh rahe hain kahan hai khana-e-ishq

phirenge hashr mein gard-e-dil-e-yagana-e-ishq
karenge pesh-e-khuda hum tawaf-e-khana-e-ishq

nai sada ho nae honth hon naya lahja
nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq

jo maulwi hain wo likkhenge kufr ke fatwe
sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq

agar lage to lage chot mere nale ki
agar pade to pade dil pe taziyana-e-ishq

jo dal den use patthar pe bhi phale-phule
darakht-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq

tumhin kaho jo luta den to kaun khali ho
khazana husn ka afzun hai ya khazana-e-ishq

wo raat aae ki sar tera le ke bazu par
tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq

wo dar tak aate nahin dar se hum nahin uthte
udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq

sikhai kis ne ye raftar mere nale ko
kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq

kisi ko pyar karega shabab mein tu bhi
tere bhi ghar mein jalega charagh-e-khana-e-ishq

jo khush-nawis mile koi denge dil apna
hum is kitab mein likhwaenge fasana-e-ishq

gae hain wo meri mahfil mein bhul kar rumal
ye ja-namaz bichha kar padhun dogana-e-ishq

kisi ke husn ne kafir bana diya 'mail'
laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-khana-e-ishq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close