koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin

koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin
dil wo aansu jo kisi aankh se chhalka bhi nahin

ruth kar baith gai himmat-e-dushwar-pasand
rah mein ab koi jalta hua sahra bhi nahin

aage kuchh log hamein dekh ke hans dete the
ab ye aalam hai koi dekhne wala bhi nahin

dard wo aag ki bujhti nahin jalti bhi nahin
yaad wo zakhm ki bharta nahin rista bhi nahin

baadban khol ke baithe hain safinon wale
par utarne ke liye halka sa jhonka bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close