koi in tang-dahanon se mohabbat na kare aur jo ye tang karen munh se shikayat na kare ishq ke dagh ko dil mohr-e-nabuwwat samjha dar hai kafir kahin dawa-e-nabuwat na kare hai jarahat ka meri sauda-e-almas ilaj faeda us ko kabhi sang-e-jarahat na kare har qadam par mere ashkon se rawan hai dariya kya kare jada agar tark-e-rifaqat na kare aaj tak khun se mere tar hai zaban-e-khanjar kya kare jab ki talab koi shahadat na kare hai ye insan bade ustad ka shagird-e-rashid kar sake kaun agar ye bhi khilafat na kare bin jale shama ke parwana nahin jal sakta kya badhe ishq agar husn hi sabqat na kare phir chala maqtal-e-ushshaq ki jaanib qatil sar pe barpa kahin kushton ke qayamat na kare