koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain

koi lashkar ki dhadakte hue gham aate hain
sham ke sae bahut tez qadam aate hain

dil wo darwesh hai jo aankh uthata hi nahin
us ke darwaze pe sau ahl-e-karam aate hain

mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain

main ne do chaar kitaben to padhi hain lekin
shahr ke taur-tariqe mujhe kam aate hain

khub-surat sa koi hadisa aankhon mein liye
ghar ki dahliz pe darte hue hum aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close