koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage

koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage
kasu ne dam na mara tesha-e-faulad ke aage

gae daude na aakhir hazrat-e-yaqub kanan se
zamin nape pidar bhi husn-e-madar-zad ke aage

akela kyunki lagta bastiyon mein dil bichaare ka
na hota naqsh shirin ka agar farhad ke aage

agar dhadka ho jannat mein to bad-tar hai jahannum se
hamein gul khar sa lagta hai us sayyaad ke aage

'yaqin' us qad ke aage is tarah se sarw ruswa hai
darakhtan-e-bayabani hain jun shamshad ke aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close