koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

koi manzil nahin milti to thahar jate hain
ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain

kyun tere hijr ke manzar pe sitam dhate hain
zakhm bhi dete hain aur khwab bhi dikhlate hain

hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len
ek sikka jo hatheli pe saja late hain

ye to har roz ka mamul hai hairan ho kyun
pyas hi pite hain hum bhuk hi hum khate hain

har bada bachchon ko jine ki dua deta hai
hum bhi shayad isi wirse ki saza pate hain

subh le jate hain hum apna janaza ghar se
sham ko phir ise kandhon pe utha late hain

shahr ki bhid mein kya ho isi khatir 'azar'
apni pahchan ko hum ghar mein hi chhod aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close