koi na dekha ki wapas aaya KHuda ke ghar ek bar ja kar

koi na dekha ki wapas aaya khuda ke ghar ek bar ja kar
wo dair-o-kaba mein hai muqayyad khuda khuda kar khuda khuda kar

samajh na tu us ko be-nawai ye do-jahan ki hai baadshai
ki daulat-e-ishq hath aai mata-e-duniya-o-din luta kar

jahan ki kaenat kya hai umid-e-uqba mein kya dhara hai
bari hain jo us se wo na dekhen idhar zara aankh bhi utha kar

karam tera tama par hai mabni hai teri khairaat is nafas par
ki sud mein ashrafi milegi jo dega ek dam hath utha kar

ye dil-lagi kya hai baad-o-baran hansi hai ye ya sitam-zarifi
gulon ko mitti mein kyun milaya khila khila kar hansa hansa kar

na rah sake pesh-e-mehr-e-taban gul aur shabnam mein rabt-e-rasmi
main kat gaya kal jahan se 'kaifi' dil ek dildar se laga kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close