koi nahin ki jise aashna-e-raaz karen

koi nahin ki jise aashna-e-raaz karen
to kyun na phir gham-e-dil hi se saz-baz karen

bana ke un ko bhi khugar niyaz-e-paiham ka
wo din bhi aae ki hum bhi buton se naz karen

hisab ho chuka kotah-dastiyon ka to ab
khayal-e-silsila-e-gesu-e-daraaz karen

agar sharab mein masti bhi hai khumar bhi hai
to kyun na aarzu-e-chashm nim-baz karen

nazar mein tundi-e-tishna-labi badha ai shauq
ki jis se har dil-e-mina ko phir gudaz karen

huzur-e-pir-e-mughan laghzishon ki pursish hai
lo aao apne bhi qadmon ko sarfaraaz karen

safar shabab ka gar uzr tha to ab sar-e-sham
qaza-e-umr padhen niyyat-e-namaz karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close