koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae

koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae
aur har baat ho ye baat na hone pae

jo bhi surat hai inayat hai karam hai un ka
raegan un ki ye saughat na hone pae

un ki taswir se har lamha rahe raaz-o-niyaz
muntashir shan-e-khayalat na hone pae

sakht dushwar hai pabandi-e-ain-e-wafa
baat to jab hai tujhe mat na hone pae

jaan de dijiye aadab-e-mohabbat ke liye
dekhiye khami-e-jazbaat na hone pae

bazm mein un ka koi zikr jo aa jata hai
hukm hota hai meri baat na hone pae

husn-e-kirdar se hasti ko saja lo 'wasfi'
zindagi nazr-e-khurafat na hone pae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close