koi patthar hi kisi samt se aaya hota

koi patthar hi kisi samt se aaya hota
ped phaldar main ek rahguzar ka hota

apni aawaz ke jadu pe bharosa karte
mor jo naqsh tha diwar pe nacha hota

ek hi pal ko thaharna tha munderon pe teri
sham ki dhup hun main kash ye jaana hota

ek hi naqsh se sau aks numayan hote
kuchh saliqe hi se alfaz ko barta hota

lazzaten qurb ki ai 'raaz' hamesha rahtin
shakh-e-sandal se koi sanp hi lipta hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close