koi puchhe na hum se kya hua dil hua kya lut gaya dil mit gaya dil ye kah kar de diya mujh ko mera dil hamein kosega dega bad-dua dil maza de jaegi mujh ko teri aankh maza de jaega tujh ko mera dil chaman mein jo khila gul main ye samjha ki hai mera ye murjhaya hua dil uthega lutf sohbat ka abhi to nae tum ho nae hum hain naya dil kisi se yun dagha karte nahin hain are o be-murawwat bewafa dil qayamat hai tumhaari chulbuli shakl qayamat hai hamara chulbula dil hamara dil hamare kaam ka hai kahan paen tumhaare kaam ka dil bahut hai jam ko apne jam par naz zara lana mera tuta hua dil kisi ka zor phir chalta nahin hai kisi se jab kisi ka mil gaya dil use kis munh se kahte ho bura tum tumhein kis dil se deta hai dua dil gaya wo dagh le kar dagh de kar nishani de gaya dil le gaya dil hasin us ko bura samjhe bachi jaan bura ban kar bahut achchha raha dil kahen kya kis ne luta kis ko luta lute hum tum luta joban luta dil wahi achchha tha us chhati ki sil se badal deta kisi but se khuda dil tumhaari rah mein wo bhi pada hai zara dekhe hue tuta hua dil koi ab muft bhi khwahan nahin hai 'riyaz' aisa gaya guzra hua dil