koi shafqat bhari sarkar nahin hai ghar mein

koi shafqat bhari sarkar nahin hai ghar mein
jab se baba ki wo dastar nahin hai ghar mein

umr ki badhti thakan sans ki bimar ghutan
ek kamra bhi hawa-dar nahin hai ghar mein

dukh sunaen kabhi ghabraen to sar takraen
is tarah ki koi diwar nahin hai ghar mein

kabhi aawaz mein marham kabhi mathe pe shikan
main samajhti thi adakar nahin hai ghar mein

moh leta hai wo guftar se duniya bhar ko
baat karne ka rawadar nahin hai ghar mein

jaan le lete hain kuchh sard rawayye aksar
hum samajhte hain ki talwar nahin hai ghar mein

wo ayaadat ke bahane se agar aa bhi gaya
us se kah dena ki bimar nahin hai ghar mein

kaun hai jo tumhein jate hue rokega 'sahar'
kuchh rukawat koi inkar nahin hai ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close