kuchh ab ke rasm-e-jahan ke KHilaf karna hai

kuchh ab ke rasm-e-jahan ke khilaf karna hai
shikast de ke adu ko maf karna hai

hawa ko zid ki udaegi dhul har surat
hamein ye dhun hai ki aaina saf karna hai

wo bolta hai to sab log aise sunte hain
ki jaise us ne koi inkishaf karna hai

mujhe pata hai ki apne bayan se us ne
kahan kahan pe abhi inhiraf karna hai

charagh le ke hatheli pe ghumna aise
hawa-e-tund ko apne khilaf karna hai

wo jurm hum se jo sarzad nahin hue 'azhar'
abhi to un ka hamein e'tiraf karna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close