kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath

kuchh abruon pe bal bhi hain khanda-labi ke sath
farma rahe hain jaur magar dil-kashi ke sath

shamil ho gar na gham ki khalish zindagi ke sath
rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke sath

is ehtimam-e-jashn-e-mashiyyat ko kya kahun
paida kiya hai dard dil-e-admi ke sath

jine na den hayat ki paiham shararten
insan jo khud sharir na ho zindagi ke sath

har gam par hai laghzish-e-pa ka bhi ek khatar
chaliye rah-e-wafa mein salamat-rawi ke sath

mumkin hai mil hi jae maqam-e-sukun kahin
ta marg ham-rikab raho zindagi ke sath

ba-wasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnim kis liye
waiz ko zid hai mashghala-e-mai-kashi ke sath

malum us ki talkhi-e-anjam hai magar
'anwar' bila khulus na miliye kisi ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close