kuchh apna pata de kar hairan bahut rakkha sargarmi-e-wahshat ka imkan bahut rakkha aisa to na tha mushkil ek ek qadam uthna is bar ajab main ne saman bahut rakkha parbat ke kinare se ek rah nikalti hai dikhlaya bahut mushkil aasan bahut rakkha kya farz tha har ek ko khushbu ka pata dena bas bagh-e-mohabbat ko viran bahut rakkha logon ne bahut chaha apna sa bana dalen par hum ne ki apne ko insan bahut rakkha