kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar

kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar
ye lahr kahan jae samundar se nikal kar

malum tha milna tera mumkin nahin lekin
chaha tha tujhe main ne muqaddar se nikal kar

aalam mein kai aur bhi aalam the so main ne
dekha nahin is markaz o mahwar se nikal kar

ab dekhiye kis shakhs ka ham-dosh bane wo
jhonke ki tarah mere barabar se nikal kar

khwahish hai ki khud ko bhi kabhi dur se dekhun
manzar ka nazara karun manzar se nikal kar

takta raha main us ki mubaraz-e-talbi ko
wo mujh se lada tha mere lashkar se nikal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close