kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale

kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale
sanehe aur bhi hain ru-numa hone wale

waqt ke ghat utar kar nahin wapas laute
dagh malbus-e-mah-o-mahr ke dhone wale

daem aabaad rahe dar-e-fana ke basi
fikr mein ruh-e-baqayab samone wale

thartharaati rahe ab khwah hama-waqt zamin
so gae khak-e-abad odh ke sone wale

jis pe bhi panw dhara main ne usi naw mein
aae aasar nazar khud ko dubone wale

ab liye phirta hai kya daman-e-sad-chaak apna
kya hue ab wo tere sine pirone wale

ja nikalta hai achanak wahin rasta mera
dar pa-e-pa hon jahan khar chubhone wale

gard hai hath mein un ke meri kusht-e-zar-khez
khar-o-khas se jo alawa nahin bone wale

ye bhi ek turfa tamasha hai ki hain andhiyare
resha-e-shab mein sitaron ko pirone wale

kar gae khushk bhari jhil tassuf ke kanwal
sukh kar kanta hue raat bhigone wale

de gaya hai jo hamein ahd-e-marasim us ka
us khazane ko nahin hum nahin khone wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close