kuchh din guzre aali-sahib aali-ji kahlate the

kuchh din guzre 'ali'-sahib aali-ji kahlate the
mahfil mahfil qarya qarya sher sunate jate the

qadr-e-sukhan hum kya jaanen han rang-e-sukhan kuchh aisa tha
achchhe achchhe kahne wale apne pas bithate the

ghazlon mein sau rang mila kar apna rang ubhaara tha
ustadon ke sae mein kuchh apni rah banate the

giton mein kuchh aur na ho ek kaifiyat si rahti thi
jab bhi misre raqsan hote mani saz bajate the

dohe kahne aur padhne ka aisa tarz nikala tha
sunne wale sar dhunte the aur pahron padhwate the

samne baithi sundar naren aap talab ban jati thin
pardon mein se farmaish ke sau sau parche aate the

ghazlen dohe git ki shohrat mulk se bahar phaili thi
hindostan se aane wale tohfon mein le jate the

ahl-e-hunar ki khosha-chini un ko wajh-e-saadat thi
be-hunaron mein apni ana ka parcham bhi lahraate the

phir dekha ki bachcha bachcha hansta tha aur 'ali'-ji
farden likhte maslen padhte baithe gild chalate the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close