kuchh dinon is shahr mein hum log aawara phiren

kuchh dinon is shahr mein hum log aawara phiren
aur phir is shahr ke logon ka afsana likhen

sham ho to doston ke sath mai-khane chalen
subh tak phir raat ke taqon mein be-masraf jalen

muddaten guzrin hum us ki rah se guzre nahin
aaj us ki rah jaane ke bahane dhund len

shahr ke dukh ka mudawa dhund lo chaaragaro
is se pahle log diwaren siyah karne lagen

ek jaise manzaron se aankh be-raunaq hui
aao ab kuchh der diwaron se bahar jhank len

pahle ghar se be-khayali mein nikal padte the log
ab taqaza-e-junun ye hai ki wo achchhe lagen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close