kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye

kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye

nashtar-ba-dast shahr se chaaragari ki lau
ai zakhm-e-be-kasi tujhe bhar jaana chahiye

har bar ediyon pe gira hai mera lahu
maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye

kya chal sakenge jin ka faqat masala ye hai
jaane se pahle rakht-e-safar jaana chahiye

sara jwar-bhata mere dil mein hai magar
ilzam ye bhi chand ke sar jaana chahiye

jab bhi gae azab-e-dar-o-baam tha wahi
aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye

tohmat laga ke man pe jo dushman se dad le
aise sukhan-farosh ko mar jaana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close