kuchh izala to karen aap bhi taDpane ka

kuchh izala to karen aap bhi tadpane ka
dil jo toda hai to phir sochiye harjaane ka

na koi ashk na bazu na koi zulf nasib
koi masraf nazar aaya nahin is shane ka

raat kya khub tamasha tha gali mein un ki
shaikh-ji puchha kiye rasta mai-khane ka

do ghadi dil to bahal jata hai taswir ke sath
masala hal nahin hota tere diwane ka

wasl mein qurb ki lazzat se bhi mahrum rahe
us pe ehsan bhi raha aap ke aa jaane ka

is saliqe se gaya hath chhuda kar zalim
ki nasha lams ka tha dukh tha bichhad jaane ka

sath aisa tha mayassar ki safar katta gaya
hum ne socha hi nahin rah mein sustane ka

shama ne dekh ke hi lau bhi badhai hogi
har patinge mein kahan zarf hai jal jaane ka

aap ke chehre ki tamsil kaha hai is ko
haq to banta hai yahan phul ke itrane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close